Thursday, February 26, 2015

Mohabat...

Her shaks ki zindagi me mukhtalif qism ki priorities hoti hain... Jin k mutabiq wo apny shab o roz ko tarteeb deta hy....aur unhe k liay bhag dor bhi krta hy...fursat k lamhay mohabat krne k liay mukhtus hote hain...mohabat bheek ki trha khali kashkol me kuch dair itrati hy, ithlaati hy, phir murjhati hay aur sokhy pattay ki manind hawa me ur jati hy....kabhi idhert kabhi udher...kabhi kisi pair k neechay aa k churcharati hy....kabhi benam manzil ki traf belagaam hawa k saang chal prti hy....kisi khanabadoosh ki trha.....aik thikana nhi hota iska..... 

Fehmida Chaudhary
5 june 2014

Ujray howe log...

Ujray howe log, maslay howe gulab ki manind hote hain....masuck zada patiyaan dekhne me apni khobsurti kho deti hain pr inki khushboo der tak un qatil hathon se aati hy jo inhain masal k be shanakht kr dete hain...
Fehmida Chaudhary 
7th june 2014

Wednesday, February 25, 2015

Adhoori Auraat....

Ye jo sadyon se mere wajood me palta dukh meri raag o jaan ko kat raha hy...meri rooh ko chulni chulni kiye jata hay ik muddat sy...Be'zaar, Be'raang din, Be'Kaif ratain aur Be'maqsad hayyat hy...

Mere pass waqt he nhi apne liye, kai roz bad aaina bhi na dekhon to khud apne aapka aks bhi shanakht na ker paon...

Main apne din bhaar ki thaakaan apni rooh main utar leti hun...Udasi aur
bebasi berh jati hy aur tanhai ka ahsaas apni puri shiddat k saath 
hamla'awer hota hy...
Sakoot e shab k andhairon main jab sitary muskurate hain...meri ankgon k
kinaray aansoo'on se jhilmilatay hain...
Wafoor e qurb se alfaaz labon per he jhulus jate hain... adaigi ki nobat
tk pohanchtay he nhi...

Mujhay apne jeene k liye bhi saansaain derte derte dosron ki ijazat se mus'taar leni prti hain... Mera dil jab khoon k aansoo rota hy...meri nazrain kisi meherban ko dhondne dor tak jati hain aur phir khali khali lot aati hain...

Mere ander se phir khud he aik malamat ki sada aati hy....k...Ae bekhabber...TU...khud he apni zaat ki qatil hy...
Dil bhi bebasi ka aik jahan chupaye betha hy...jo kehta hy...Ya Rab meri hayyat k maani badal de...ya meri jalti howi rooh ki tapish se mere jism o jaan ko khaak'ster krde.....

Written by....
Fehmida Chaudhary
28 March 2014

Ravaiye


Teesri manzil ki khirki se roz bahar ka manzer dekhti hn.... Qareeb he had e nazar tk phaila howa haryali se muzaiyun shehr e khamoshan nazr ata hy.... pehle mitti ki dhairi c hoti hy phir sang e mar mar se us qabr ko saja dia jata hy... Mujhy hairani hy k zinda logon k saath murdon ka sa salook krne wale log... un k marne k bad unki qabr ki sajawat kr k tamam ter haqooq se muberrah ho jate hain...

Fehmida Chaudhary
30th March 2014

Saturday, February 21, 2015

Ye duniya.......

Janay ab kis daes milaingay onchi zaaton walay log...
Naik nigahain, sachay jazbon ki sogaton walay log...
Waqt ki urti dhool main apnay naqsh ganwae phirte hain...
Rim jhim subhon, roshan shamon , resham raton walay log...
Ik bhikaran dhond rahi thi, raat ko jhootay chehron main...
Uljhay lafzon, sachi baton ki khairaton walay log...


Insaan ko ashraful makhloqat banaya gaya hay...Tamam jin o anus aur degar makhlooqat say afzal kaha jata hay k insan pehle bander ki terha dikhtay thay ...aur phir ahista ahista mosami tabdiliyon k sath banderon jaise dikhne walay insano ki shakl main dhalnay lagay.

Ajj ka insan dikhne main bohat khobsurat hay. Dil main kadorat , hasad ka jazba liye munafiqat se bharpur zindagi jee raha hay. Branded ushya kareedne wala aur aala 4 wheel drive main ghoomne wala, wasee lawn aur mehel numa ghar main rehnay wala . Her cheiz ka mayar parukhne wala insan khud aala mayaar ka insan nahi ban pata.

Burai hamaisha aik siyaah nuqtay say shuru hoti hay aur phir pori kaali raat main tabdeel ho jati hay. Isliye pehlay aik firoan tha aur ajj bohat say firoan hain...Apnay aas pass dekhlain.Jab khaloos khatum ho jata hay to saadgi rukhsat ho jati hay aur log takalufaat main per jatay hain. Aur apnay batin ko pakeeza bananay ki bajaye apnay zahir ko sajanay main lag jatay hain...

Written by : Fehmida Chaudhary

Thursday, February 5, 2015

Muqadder soo bhi jatay hain.....

Kisi rothay howay dost ko manana asaan hay...Kisi bigray howay kaam ko sanwarna bhi mumkin hay magar baaz dafa muqadder rooth jatay hain...Aur rooth k so bhi jatay hain...Aur wo bhi gehri neend...Aur is gehri neend se jaganay ka na to koi manter hay aur na he koi ilaaj...

Koi minat simajat na he koi hilla bahana kariger hota hay....Bara he man moji hota hay ye muqader...Bigarta hay to sanwarnay ka naam he nahi laita...Narootha pan iski fitrat main jesay Allah nay likh dia do...

Bohat he kismat walay hotay hain wo log jo kismat k dhani hotay hain...Jo mitti ko bhi haath lagatay hain to wo sona ban jati hay...

Manzil tak pohanchnay k liye musalsal koshish ....Allah ki zaat pay mukammal yaqeen aur lagan honi chaheye....Bagair mehnat k koi cheiz hasil nahi ho sakti....Lagan...Justujo...Koshish....aur Khaliq e kainat per mukamal yakeen ....Her namumkin ko mumkin bana deta hay....

Rab raazi to sub raazi....Usko manana koi mushkil kam to nahi......


Written by Fehmida Chaudhary
!4th December 2015